Online Puja Services

Shri Vishnu Aarti

3.143.23.176

Om jai Jagadish Hare, Swami jai Jagadish Hare | 
Bhakt janon ke sankat, Dus janmon ke sankat, Kshan men door kare || Om jai... 

Jo dhyave phal pave, dukh bin se man ka, Swami dukh bin se man ka | 
Sukh sampatti ghar aave, Sukh sampatti ghar aave, Kasht mite tan ka || Om jai... 

Mat pita tum mere, sharan gahun main kiski, Swami sharan gahun main kiski | 
Tum bin aur na dooja, Prabhu bin aur na dooja, Aas karun main jiski || Om jai... 

Tum pooran Parmatma, Tum antaryami, Swami tum antaryami | 
Paar brahma parameshvar, Paar brahma parameshvar, Tum sab ke Swami || Om jai...

Tum karuna ke sagar, Tum palan karta, Swami tum palan karta | 
Main moorakh khal kami, Main sevak tum Swami, Kripa karo Bharta || Om jai... 

Tum ho ek agochar, sabe ke pranpati. Swami sabe ke pranpati | 
Kis vidhi miloon dayamay, kis vidh miloon dayaloo, Tum ko main kumati || Om jai... 

Deen bandhu dukh harta, Tum rakshak mere, Swami tum Thakur mere | 
Apne hath uthao, Apni sharan lagao, Dwar pada main tere || Om jai... 

Vishay vikar mitao, pap haro deva, Swami, pap haro deva | 
Shraddha bhakti badhao, Shraddha bhakti badhao, Santan ki seva || Om jai... 

Om jai Jagadish Hare, Swami jai Jagadish Hare | 
Bhakt janon ke sankat, Dus janmon ke sankat, kshan men door kare || Om jai...

Quote of the day

You can't cross the sea merely by standing and staring at the water.…

__________Rabindranath Tagore